siraat e mustaqeem ya hussain a.s
hai bauhat azeem ya hussain a.s
hussain her jawaz main khuda k naz o raz main
yeh jibrael na kaha rasool say namaz main
khuda ka hukum hai yehi
berha do sajday ko nabi
na sir uthay hussain hai
sawar pusht per abhi
yahi yeh faisla
ker chuka hai khuda
kehdo aey mustafa
Aey bad naseeb kam nazar bhatak raha hai tu kidhar
siraat e mustaqeem ki talsh main idhar udhar
abhi bhi waqt hai sambhal
naseeb apna khud badal
khuda ko dhondna hai to
jahan hussainiyat hai chal
aa chalain karbala
hoga razi khuda
tu bhi kehday zura
siraat e mustaqeem ya hussain a.s
hai bauhat azeem ya hussain a.s
Jo sab sa behtareen hai hussain hi woh deen hai
ali ka noor e ain hai nabi ka dilnasheen hai
hussain bay misaal hai
kamal hi kamaal hai
hussain bus hussain hai
husain la zawaal hai
waali e karbala
yeh safeer e khuda
haq ka yeh rasta
Gali Gali nagar nagar sikhay kay matami safar
chalaya maon na humain siraat e mustaqeem per
bataya ma na dam ba dam
hussain k liya hain hum
hussainiyat ki raah main
kabhi nahi rukain qadam
jab bhi ghar sa chala
mere maan na kaha
yaad rekhna zura
siraat e mustaqeem ya hussain a.s
hai bauhat azeem ya hussain a.s
Nikal sitam ki rah say yazed ki panah sa
aey hur na be qarar ho milalay khud ko shah say
suni jo hur na yeh sada
sowe hussain woh chala
ghulam aur pisar bhi thay
laboon pa thi yehi sada
mera aaqa hussain
mera mola hussain
bus yeh kehta raha
Hussain hai woh be watan mila nahi jisay kafan
issi ki zakhmi lash per tadapti reh gaye behan
badan tha samnay magar
kata hua tha iska sir
thay zakham uska perahan
ghareeb tha yeh kis kadar
yeh sun k shimr aagaya sakina ki taraf berha
chura k laash say ussay tamachay marta raha
sunay jo laadli k bain na ayay lash ko bhi chain
andhairay ban main khaak pa
tadap tay reh gayay hussain
yehi hai ishq ka sharaf nahi badal saka hadaf
aseer ho k kafla chala jo sham ki taraf
sina ki nook per charay
siroon ka tha bayan yeh
doobara zindagi milay
nisaar ho hussain pay
yeh sada na ruki
joan o zeeshan ki
day rahay hain sada
siraat e mustaqeem ya hussain a.s
hai bauhat azeem ya hussain a.s
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.