Noha Lyrics
Hussain(a.s) Hussin(a.s)
HussaiN (a.s) Hussain (a.s)*
Daen Hassan(a.s)
Baen Jari
push-e-Pana hi to Nabi sar pe ( *KhuDa vande Jali)*
Sina siper Zahra(s.a) Ali (a.s)
Mere Maula (a.s) ko muyasar ha Khazana aisa
Inka rutba hai Imamon Mein shahana Kaisa
kaise kaise hain Naseebo mein ujale inke
Mere aaka ko Mila Hai yah gharana Kaisa...
MarHaba MarHaba Mustafa(s.a.w.w) Ki Baat main
Bakhuda Bakhuda sari kaynat mein
goonj raha hai Bus aik Naam
Hussin(a.s).......
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Lakhon durood aap pe lakhon Salam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Allah ne Kya khoob Sanwara hai
Sarkar Ke angan Mein utara hai har qoom ki aankhon Ka Sitara hai
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Zinda Hai Hussain uska kirdar bhi zinda
Kirdar Jo Jinda Hai toh mayaar bhi zinda
Maiyar Jo zinda hai toh aftar bhi zinda
Aftar bhi zinda Hai to azadar bhi zinda
ibtedaa ibtedaa Mustafa (s.a.w.w) ki Dosh par
Inteha inteha Naizay par buland sar
goonj raha hai Bus aik Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain (a.s)
Dilam dilam Nazar Nazar Ya Hussain (a.s)
Sadakaton ki Rah guzar Ya Hussain(a.s)
Kaho kaho ba chashm-e- tar ya Husain(a.s)
Ya Hussain ya Hussain ya Hussain (a.s)...
Tareekh mein is jaisa na insan milega
Aisa Na koi aashiq-e- Rehman milega
Na aisa koi shah-e-shahidan milega
Na aisa koi Sabr ka Sultan milega
La-ilaH- La-ilaH
La-ilaH ka pasbaan
Deen panaah Deen panaah Mustafa (s.a.w.w) tarjuma
goonj raha hai Bus aik Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Allah ne Kya khoob Sanwara hai
Sarkar Ke angan Mein utara hai har qoom ki aankhon Ka Sitara Hai
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Har Dil Mein ghm-e-Syed Syed Abrar milega
Har daur Mein mazlum ka gham khuwar milega
Har Qoum mein Shabbir (a.s) ka zawaar milega
Har mulk mein Maula(a.s) ka azadar milega
Har jagah Har jagah Momino Ke darmiyan
Hey Sada hey Sada dhadkano Ke darmiyan
goonj raha hai Bus aik Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain (a.s)
Dilam dilam Nazar Nazar Ya Hussain (a.s)
Sadakaton ki Rah guzar Ya Hussain(a.s)
Kaho kaho ba chashm-e- tar ya Husain(a.s)
Ya Hussain ya Hussain ya Hussain (a.s)...
Hathon Mein Alam thamay woh Aata Hai azadar
Han majlis-o-matam Hi rahta Hai azadar
Maa baap hussaini ho to banta hai azadar
Maula(a.s) Ya Tumhara Hai Tumhara azadar
Silsila silsila yeh azza ka silsila
Raabta raabta Karbala se raabta
goonj raha hai Bus aik Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Allah ne Kya khoob Sanwara hai
Sarkar Ke angan Mein utara hai har qoom ki aankhon Ka Sitara hai
Hazrat IMaM HussaiN(a.s)
Shabbir Ka Dil dekhe zara dekhe zamana
Wallah Kaha Tha Jo wahi karke dikhaya
Khushnudii-e-Khaliq me bharay Ghar Ko lutaya
Naizay bhi Aya tou baadi Shaan Sa Aya
Badshah badshah Hai Diloon ka badshah
Chha Gaya chha Gaya do Jahan pe chha Gaya
goonj raha hai Bus aik Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Qadam Qadam Nagar Nagar Ya Hussain (a.s)
Dilam dilam Nazar Nazar Ya Hussain (a.s)
Sadakaton ki Rah guzar Ya Hussain(a.s)
Kaho kaho ba chashm-e- tar ya Husain(a.s)
Ya Hussain ya Hussain ya Hussain (a.s)...
Kis Shan se maktal mein kadam rakhta hai shabeer
Kab Jaan Ki parvah Kiya karta hai Shabbir
Darta Hai Na jhukta Hai na ghabrata hai shabeer
Lakhon bhi mukhalif ho tou sach kahta Hai Shabbir
Hosla hosla Shah-e-Deen ka hosla
Sun Sada Sun Sada Do Jahan Ki Hai Sada
Goonj raha hai bus ek na Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Allah ne Kya khoob Sanwara hai
Sarkar Ke angan Mein utara hai har qoom ki aankhon Ka Sitara hai
Hazrat IMaM HussaiN ( a.s)
Haan aao Karen hum Shah-e-Abrar ka Matam
Islam ke Mohsin k madadgar ka matam
Asgar (a.s) Ali Akbar (a.s) ka aur Ansar ka Matam
Zainab (s.a) ka Sakina (s.a) ka Alamdar ka Matam
Bekhta bekhata Hai gareeb Syeda
Hai bapaa hai bapaa tera gham jagah jagah
Goonj raha hai bus ek na Naam
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Daen Hassan(a.s)
Baen Jari
push-e-Pana hi to Nabi sar pe ( *KhuDa vande Jali)*
Sina siper Zahra(s.a) Ali (a.s) ...*(2)*
Hazrat IMaM HussaiN HussaiN
Hazrat IMaM HussaiN
Hazrat IMaM HussaiN
Hayeee Shah-e-Mashreqain ayee Dil-e-Zahra Kay Chain
Ya meray Mola HussaiN (a.s)
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Alli maqam Hazrat HussaiN HussaiN...*(2)*
Tum pe Salam HussaiN HussaiN (a.s)
Tum pe Salam HussaiN HussaiN (a.s)
Hazrat IMaM HussaiN (a.s ) *(2)*
Hayee Shah-e-Karbala
App ka Ghar lut gya
Vada Wafa kar dia
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Hazrat IMaM HussaiN (a.s)
Shah-e-Zaman HussaiN HussaiN a.s
Zakhmi Badan HussaiN HussaiN a.s
Tishna Dahan Hussain Hussain a.s
Hazrat IMaM HussaiN HussaiN ....
#NS2022 #HazratImamHussainAS #NadeemSarwar
Nadeem Sarwar - Hazrat Imam Hussain AS (43rd Volume)
Reciter: Nadeem Sarwar Composition: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee Poetry: Nadeem Sarwar, Jawad Jafri & Dr Hilal Naqvi
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.