Ap par durood aur salam ayw mere imam as
Bas yahi sada hai subh o shaam aye mere imam as
Arahy hain ap chal rhi hai ye khabar
Khana e khuda pay hai tiki hui nazar
Saj rahy hain rastay tamam
Har nafas tujhay mera salam arz hai
Mei tou kia hun har nabi wali py farz hai
Dou jahan mei tera ehteraam
Dou jahan ki badshah teri zaat hai
Tu hai uska hath jou khuda ka hath hai
Teray hath bayaetein tamam
Is liye tumhara intezar hai shadeed
Sar uthaye phir rahy hain waqt kay yazeed
Aa kay un sy lijiye inteqam
khana e khuda ko qaid sy churaiye
Mola jald aiye ab aa bhi jaiye
Le kay zulfiqar be nayaam
Mangty hain aur yun zahoor ki dua
Dekhna hai hum ko inteqam e karbala
Chahy phr hou zindagi tamam
choomtay hain paon akay taray apkay
Chal rha hai dekh kay isharay apkay
Sari kainaat ka nizaam
wasf sab haseen hassan kay naam hogye
Takht o taaj mir kay ghulam hogye
Jab sy wou hua tera ghulam
Aye Mere Imam Lyrics - Karbalai Brothers Manqabat 2021 - 15 Shaban Manqabat
Published on: March 30, 2021
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.