Jo dafn fatema Zehra ko kar chuke Maula
Tha dil me dard ke ghar kis tarha me jaaunga
Tab aayi kano me ye qabre fatema se sada
Ali suno me sunaungi darde Dil apna
Sath me hone ka ehsas dilate rehne
Ya ali aap meri qabr pay aate rehna
Hosala Fatema Zehra Ka Badhate rehna
Ya Ali Aap Meri Qabr Pay Aate rehna
Mera darwaza jalaya tha sitamgaaro ne
Zakhm pehlu pa lagaya tha sitamgaaro ne
Kaise ghut ghut ke rahi zinda batate rehna
Ya Ali aap.....
Jo gale me thi rasan usko hatati kaise
Khud aziyat me thi me aake bachati kaise
Yad wo waqt jo aaye to bhulate rehna
Ya Ali aap....
Sans lene he kaha deti thi pasli meri
Kab huyi thik wo tooti huyi ungli meri
Mene jo zulm sahe hen wo sunate rehna
Ya Ali aap...
Ek he qabr me do mayyaten rakkhi hen ali
Ek mohsin ki shikam me hai mere ! Ek meri
Do diye isliye har sham jalate rehna
Ya Ali aap....
Zindagi me to bohtt zulm kiye hen mujh per
Ab musalman kahi qabr na dha den aakar
Ye wasiyat hai meri pehra lagate rehna
Ya Ali aap...
Maa ke jaane ka na ho paye use kuch bhi malal
Mere shabbeer ka rato me sada rakhna
khayal
Jab use pyas lage Pani pilaate rehna
Ya Ali aap....
Betiyaa'n jab bhi mujhe milne ki zid krne lagen
Or kehne laga milwayie amma se hame
Sath me zainabo kulusm ko late rehna
Ya Ali aap....
Kis tarha likkhega " ABBAS" padhe kya "AKBAR"
fatema so gayi marqad me ali se keh kr
Jab talak zinda raho wada nibhate rehna
Ya Ali aap....
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.