maula hai meri tamanna
baccha jo kiya hai ataa
nokar ho wo tera
zakir ho wo tera
azadaar ho tera
CHORUS
qubaan karun tujhpar maula
ye hai tera nokar maula
mera bachha ho azadar
hai akhri dam tak ye yaqeen, pakka wo rahe is raah par
duniya ki izzat maalo zar, qurban kare sab shaah par
har dam maula hai ye dua
Mera bachha ho azadar
chalne se pehle main inhe, matam karna sikhlaaunga
jab bhi wo bol payega, nohay majlis parhwaaunga
insha'Allah ho zakir tera
jab khyelte khyelte girde, lab par ho pehle ya ali,
is naam se nisbat ho jurdi, jab waqte gham ho ya khushi,
haider haider lab pe sada
jab aath Muharram aayegi, haathon mei uthaayega alam
nohay ki sada jaari rahe, har dam wo ho masroofe gham,
Bibi ki paaye wo dua
jab ankh khulegi subh ko, lab par ho pehle ye kalaam
ae aqa shaheede Karbala, main bhejta hun tujhpar salaam
din ki ho ayse ibteda
jab thanda paani dekhle, nazron mei aaye karbala
jab ye paani lab ko chhue, yaad aaye asghar ka gala,
maula pyaasa mara gaya
wo aage rahe parhaayi mei, wo parhe namaaz aur quraan
akhlaq ho sab se behtareen, aur saath mei ho wo nohakhuaan
sachaa ho azadaar aapka
jab uski paydaaish huwi, kaanon mei di maine azaan
nohon ki azaan deta rahe, aur isko sunein saaraa jahaan
matam ye kare to istarha
ye bachha amaanat aapka, aur palna usko mera kaam
maula ke azaadaron mei bhi, shamil ho Tejani uska naam
mujhe walid aysa tu bana
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.