farsh o arsh ki hai ye sada, karbala
har khushk o tar ka hai noha, karbala
jungle pahard ki hai ye nida, karbala
sunke sab kahenge barmala, karbala
hussainiyo hai tumhari, hai tumhari zimmedari
Karbala sab ko bataao,
Karbala sab ko sunaao,
Karbala sab ko bulaao
haan azadar banaao
Karbala sab ko sunaao
zakire karbobala khud huwe Allah ke rasool
hoga is khaak pe kya saane ha sunle ae batool
jo hai mera beta
hoga pyaasa zibha
bekhata aur tanha
farsh ka arsh ka bhi arsh yahi karbobala
qiblaae auwliya o ambiya bhi karbobala
hai bulandi ka maqaam
hai namaazon ka qayaam
deen e haq ka hai payaam
har azadaar ki khilqat hai issi mitti se
aur allah ko raghbat hai issi mitti se
jispe jhukti hai jabin
ye hai anmol zamin
ye jaga sab se hasin
humne dekha hai saliqaae hayaat is jaa se
bakhuda milti hai duniya ko nijaat is jaa se
ay azadar suno
puri duniya se kaho
Karbala aam karo
na yahan mazhab o darjaat ki pabandi hai
na yahaan aabru o zaat ki pabandi hai
bachha o peero jawan
aik awaaz yahaan
lab pe hai shor o fughaan
bedaari e insaan to ab hone lagi hai
har samt se aati hai haaye Karbala
sab balaaon ko dafa karti hai ye khaake zamin
isi darbaar mei miljayenge jannat ke makin
milgayi usko shifa
khake karbal hai dawa
maula ne wada kiya
go hai ye gham humme har ik sukoon se barhkar
ye amal rab ko pasand sab se hai aage barhkar
raahe jannat hai yahi
sunnate pyaare nabi
majliso seena zani
ay tejani yahi paygham sunaao har pal
sirf shion ke liye hai nahi arze karbal
sab yahaan aatein hain
aarzu laaten hain
aur sila patein hain
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.