babul hawaij almada
ae mere ghazi almadad
Maula hai tujhse lo lagi, main tere dar pe agaya,
Mangu Bhala Auron se kyon, Karta Hai Jab Tu Sab ata,
Sunta hai tu Dil ki Sada, Tere Siwa ab to Mera
Koi Nahi hai Sahara
Mola Ali ne ki Dua, Aisa Ho Ek Beta Ata
Tanha bhi ho to Sher Ho, Sabka Bane Jo Asra
Jiske Alam Kay Saaye mein Akar na de Koi Sada
Koi Nahi hai Sahara
Jaari Rahe Seena Zani Noha Gari Rasm e aza
Naslon mein Qaim ho Aza, Aulad Kar aisi Ata
Shabbir Kay 6 Maah Kay Asghar ka Tujhko Wasta
Koi Nahi hai Sahara
Bimar ko De de Shifa Sajjad Ka hai Wasta
Maqrooz kay HarQarz ko Tu Ghaib se Karde Ada
Be jurm Jo Hain Qaid mein dete Hain Sab Tujhko Sada
Koi Nahi hai Sahara
Gham se Bhara Hai Dil Mera Ae Fazl Kay Baba Suno
Mushkil Kusha kay Laal Ho Mushkil ko Meri Hal karo
Hoon Mushkilon Me Ghir Gaya Tanha Hoon Kitna Dekhlo
koi Nahi Hai Sahara
Sarwar Chale Medan se Akbar ki Aiii Jab Sada
Girte Hue Uthte Hue Puhanche shah e Karbobala
Lasha Jawan Jab na Utha Rote Hue Sheh ne Kaha
Koi Nahi Sahara
Thi Tauq Gardan mein Pari aur Hath mein thi Hathkadi
Sajjad Per Zindan mein Kaisi wo Mushkil thi Gharri
Mayyat Behan ki Na Uthi Bimar Kehta tha Yehi
Koi Nahi hai Sahar
Jab Shimr Kay Durr e Lage Rokar Sakina Kaha
Sehti Hoon main Zulm o Sitam dekho Zara Chehra Mera
Tumko Sakina ki Qasam Ajaiye mere Chacha
Koi Nahi hai Sahara
Karbobala se Sham Tak Sadat ka Haaye Safar
Tejani aur Zeeshan ka Dil Phat Raha hai Soch Kar
Sadat ko Pathar Lage Dushman Sabhi Aaye Nazar
koi Nahi hai Sahara
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.