Abbas-e-Ali Moula
Ro ro pukari bano e muztar
Ro ro pukari bano e muztar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Ran mai tumhe neend aayegi kese
adi ho tum meri godi ke
raaj dulare aankh ke taray
ye maa jiye gi kis ke saharay
dil ye sadain deta hai ro kar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Jab se gaye tum chor ke beta
puchti hai ye mujh se sakina
lot ke asghar kab aaiga
kaise usay samjhaun ye batla
bethi hai kab se raha me khahar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Teen dino ka tu bhi hai pyasa
tujhse ye maa sharminda hai beta
yad hai jab rukhsat tu hua tha
khushk zaba thi halk tha sukha
aye mere pyase aye mere dilbar
Sunti hun tumko teer laga hai
halk chida hai khoon baha hai
garm zamee hai garm hawa hai
haye baadan nazuk tera hai
chor ke ab wo khak ka bistar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Tum mera dil tum chain ho mera
tum ho meri aankho ka ujala
tum bin bahot mushkil hai jina
chehra mujhe yaad ata hai tera
tere liye bechain hai madar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Jhoola ye maa ab kisko jhulaye
tera tabasum kese bhulaye
haal apne dil ka kisko sunaye
tumko kaha se dhoond ke laye
aye jaan e madar ae dil e sarwar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Kaise likhe zeeshan ye noha
zain qayamat ka manzar tha
lut ke wo jab pohchi madina
ghar me jab aai ro ke pukara
hai tere bin viran mera ghar
Jhoola hai khali aa mere asghar
Ro ro pukari bano e muztar
Jhoola hai khali aa mere asghar
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.